sarkaar-e-ghous-e-aa'zam ! nazr-e-karam KHudaara sarkaar-e-ghous-e-aa'zam ! nazr-e-karam KHudaara mera khaali kaasa bhar do, mai.n fakeer hu.n Tumhaara jholi ko meri bhar do, warna kahegi duniya aise sakhee ka mangata, firta hai maara-maara sabka koi na koi , duniya me.n aasara hai mera ba-juz tumhaare koi nahi.n sahaara meera bane he.n dulha, mahfil saji hui hai sab auliya baraati, kya khub hai nazaara ye ada-e-dastageeri, koi mere dil se puchhe wahi.n aa gaye madad ko, maine jab jahaa.n pukaara ye tera karam hai ya ghaus ! jo bana liya hai apna kahaa.n mujsa ye kameena , kahaa.n silsila tumhara